Tuesday, June 14, 2011

paper for pen

Aaj phir dil us dost ke baare mein kuchh kehna chahta hai
Aaj phir apni kalam se kisi ko kucch batana chahta hai
Mere dost ke baare mein  kya kahu....
Mere iss dost ke bare mein  kaise kahu
Jisko aaj bhi shayad kucch kehne se daar nahi lagta
Ussi se shayad kucchh kehne se darta hoon bahot
Jab kabhi iske baare mein likhne ki liye kagaz dhoondta hoon
Hamesha meri kalam taiyaar hoti hai
Jab kabhi  apni muskilo ko baatna chahta hoon...
Iss dost ki taraf aankhein ghuma leta hoon
Kabhi kabhi sar dard sa ban jata hoon apne iss dost ke liye
Kabhi kabhi pareshaniyoon ki wagah ban jata hoon apne iss dost ke liye
Teri dosti ka asar bada gehra hai mujh par
Teri dosti ka rang bada pakka hai har dahleez par
Tujhe kaise batau teri ehmiyaat kya hai
Tujhe kaise batau ke baat  kya hai
Hamesha tujhse jab baat hoti hai
Kehne ke liye bahot kuchh aur samay bahot kum lagta hai
Bas itna hi kahunga ki 
Tere mutabik mein tujhe nahi janta hoon 
Aur mere hisab se tujhe thoda pehchaanta hoon mein

1 comment: